Bujha Hai Dil To Gham E Yaar Ab Kahan Tu Bhi – Urdu Ghazals • Urdu Poetry • Shairy in Urdu

Bujha hai dil to Gham e yaar ab kahan tu bhi
Besaan e naqsh ba deewar ab kahan tu bhi

Baja K chashm e talab bhi hui tahee-keesa
Magar hai rounaq e bazaar ab kahan tu bhi

Hamen bhi kar e jahaN le gaya hai dur bahut
Raha hai dar-pa-e-aazaar ab kahan tu bhi

Hazar suratein ankhoN mein phirti rahti hain
Meri nigaah mein har baar ab kahan tu bhi

Usi ko waada faramosh kyun kahein ae dil
Raha hai saahab e kirdaar ab kahan tu bhi

Meri ghazal mein koi aur kaise dar aayye
Sitam to yeh hai K ae yaar ab kahan tu bhi

(Ahmad Faraz)

Post a Comment

0 Comments