Romantic Shayari In Hindi Urdu Love Shayari Latest 2022 Love Poetry
![]() |
| Romantic Shayari |
Hi guys how are you . Today i am going to share with you romantic love poetry i hope you will enjoy these lines 😘😘
Apna banaakar humein apni aagosh mein bhar lo,
Honge nahi kabhi juda hum aaj ye waada kar lo,
Bikhar jaayenge tumse agar jo door ho gaye,
Kal ho sake na ho sake aaj chand baatein kar lo..
Wo karte hain shikaayat humse
Ki hum har kisi ko dekhkar muskuraate hain,
Shayad unhe nahi pata ki
Humein har mukhde mein sirf wo hi nazar aate hain…
Tumhaare milne ke baad naaraz hai rabb mujhse,
Kyonki main unse ab aur kuchh maangta hi nahi…
Tumhara aagosh deta hai sukoon-e-ishq mujhko,
Zindagi bhar apni baahon mein yoonhi qaid rakhna mujhe…
Hai dua ki qubool kar lein wo mohabbat hamaari,
Ki tamaam umar ab unki zulfon ke saaye mein rehne ko jee karta hai
Aapki yaadon ke saaye mein guzarata hai zindagi ka safar,
Aapke hi khyaalon ke rango ke daayre mein jo rehte hain sada..
Aap door ho lekin dil mein yeh ehsaas hota hai,
Koi khaas hai jo har waqt hamare dil ke paas hota hai,
Waise to karte hain hum yaad sabko,
Lekin aapki yaad ka ehsaas hamesha khaas hota hai
Tumhaare ishq ke rang audhkar hi main khushnuma hoon,
Tum hi to ho mujhme main khud mein kahan hoon…
Baksha hai mujhe husn aapki nigaahon ne,
Aap hi to lekar aaye ho mujhe is guroor e had tak
Chhupaana chaahta hoon tumhe apni aagosh mein is qadar,
Ki hawaaa bhi guzarne ki izaajat maange,
Ho jaaun main madhosh tumhaare ishq mein is qadar,
Ki hosh bhi aane ki izaajat maange…
Kahan jaaunga main tumhe chhodkar,
Ki tumhaare bina jab raat nahi gujarti,
To zindagi kya khaak gujregi…
Agar aaye tumhe hichkiya,
To maaf karna mujhe,
Kyonki is dil ko aadat hai,
Tumhe yaad karne ki…
Suna hai ki teri,
Ek nazar se hi log mar jaate hain..
Mujh gareeb ko bhi,
ek nigaah dekh lo…
Barbaad kar diya mujhe,
Teri in mast nigaahon ne,
Sau saal jee lete,
Agar deedar-e-husn tera naa kiya hota…
Tumhaari madhosh aankhon ne,
Mere dil ka system hi tod diya,
Jab se tumne I Love You hai kaha mujhe,
Maine tab se padhna likhna hi chhod diya…

0 Comments