Bewafa Poetry In Hindi Latest Shayari On Bewafai In Hindi 2022
![]() |
Bewafa shayari 2022 |
Hello Friends Kese ho ap log i hope sab theek honge aj me apke liye bewafai k upr poetry laya hu english hindi me i hope apko ye boht pasand aegi agr achi lage to meri is post ko apne friends or family k sath share zroor krden to guys chaliye poetry ki taraf👇👇👇
Hajar jakham liye baitha hai
Ashake khuni piye baitha hai
Rahe ulfat main luta ke wafa
Kaja se sadme liye baitha hai
Dal ke kafan ruswa jindgi pe
Hasrato se tauba kiye baitha hai
Ho na saki darde ki dawa
Khud jakhmo ko siye baitha hai
Ab aansoonon ko aankhon me sajana hoga,
Charaag bujh gaye khud ko jalana hoga,
Na samajhna ki tumse bichadke khush hain hum,
Hamein logon ki khatir muskurana hoga..
Dil Ke Sagar Me Lehre Uthaya Na Karo,
Khwab Bankar Neend Churaya Na Karo,
Bahot Chot Lagti Hai Mere Dil Ko,
Tum Khwabo Mein Aa Kar Yu Tadpaya Na Karo…
Duniya Jise Neend Kehti Hai,
Na Jaane Wo Kya Cheez Hoti Hai,
Aankheon To Hum Bhi Band Karte Hain,
Par Wo To Unse Milne Ki Tarkeeb Hoti Hai,
Hum Neend Ke Shouqin Jyada To Nahi,
Lekin Kuch Khwab Na Dekhe To Guzara Nahi Hota…
Kitna Dur Nikal Gye Riste Nibhate Nibate,
Khud Ko Kho Diya Humne Apno Ko Pate Pate,
Log Kahte Hai Dard Hai Mere Dil Me,
Aur Hum Thak Gye Muskurate Muskurate…
Jab Jab Aata Hai Ye Barsaat Ka Mausam,
Teri Yaad Sath Hoti Hai Humdum,
Socha Is Mausam Me Tujhe Yaad Nahi Karenge,
Par Fir Socha Ki Hum Baarish Ko Kaise Rok Payenge…
Aaj Fir uski yaad ne rula diya,
kaisa hai ye chera jisne ye sila diya,
Do lafj likhne ka salika na tha,
Uske pyar ne mujhe shayar bana diya…
Tu Yaad Kare Na Kare Teri Khushi
Hum To Tujhe Yaad Karte Rehte Hain
Tujhe Dekhne Ko Dil Tarsata Hai
Hum To Intezar Karte Rehte Hain…
Sab Honge Yaha Magar Hum Na Honge,
Humare Na Hone Se Log Kam Na Honge,
Aise To Bahut Milenge Pyar Karne Wale,
Hum Jaise Bhi Milenge Magar Wo Hum Na Honge…
Mohabbat Ke Sapney Wo Dikhaatay Bahut Hain..
Raaton Main Wo Hum Ko Jagaatay Bahut Hain..
Main Aankhon Main Kaajal Lagaaun To Kaise..
In Aankho Ko Log Rulaatay Bahut Hain!
0 Comments