2 Lines Urdu Poetry


 Uthti hi nahin nigah kisi aur ki taraf,

Ek shakhs ka deedar mujhe paband kar gaya.


Hum zakhm gehre dein ge,
Tum thora sabr to karo.


Bohat shareef hoon main,
Jab tak koi ungli na kare.


Apnana bhi seekho, thukrana bhi seekho,
Jahan par izzat nahin, wahan se uth kar jana bhi seekho.

Shararat karo, saazishen nahin,
Hum shareef hain, seedhay nahin.


Ghalat ko ghalat aur sahi ko sahi
Kehne ki himmat rakhta hoon,
Isi liye main rishte aaj kal kam rakhta hoon.



Maafi par apnana seekho,
Ghalti par thukrana seekho,
Jahan tumhari zarurat na ho,
Wahan se uth kar jana seekho.

Maan ne kaha tha kabhi kisi ka dil mat torhna,
Is liye hum ne dil ko chhor kar baqi sab tora.

Post a Comment

0 Comments