Sad Shayari In English Latest Sad Poetry In English 2022

 


Agar Thak Jaao Kabhi Toh Humse Kahna

Hum Utha Lenge Tumko Apni Baahon Mein
Aap Ek Baar Pyar Karke Toh Dekho Humse
Hum Khusiyan Bichha Denge Aapki Raahon Mein





Rab Kare Zindagi Mein Aisa Mukaam Aaye,
Meri Rooh Aur Jaan Aapke Kaam Aaye,
Har Dua Mein Bas Yehi Maangte Hain Rab Se,
Ki Agle Janam Mein Bhi Aapke Naam Ke Sath Mera Naam Aaye..





Meri Har Nazar Mein Basi Hai Tu,
Meri Har Qalam Pe Likhi Hai Tu,
Tujhe Soch Loon To Ghazal Meri,
Na Likh Sakun To Wo Khayal Hai Tu..





Har Lamha Yun Kal Ko Talash Raha Hai Yeh Dil,
Guzri Yaadon Ko Fir Se Jeena Chah Raha Hai Yeh Dil,
Koi Mujhse Bhi Puch Le Kyun Khamosh Hai Meri Aankhein,
Meri Zindagi Ko Fir Se Maang Raha Hai Ye Dil.





Wo Nadaan Hai Baatein Samajhte Nahi,
Yeh Din Yeh Raatein Samjahte Nahi,
Main Paas Bhi Jaun To Darr Jaate Hain,
Main Dard Nahi Dawa Hun Samajhte Nahi..






Dil Se Roye Magar Honto Se Muskura Beithe,
Yunhi Hum Kisi Se Wafa Nibha Beithe,
Wo Hame Ek Lamha Na De Paye Apne Pyar Ka,
Aur Hum Unke Liye Apni Zindagi Gawa Beithe.






Bahut Chaha Usko Jise Hum Pa Na Sake,
Khayalon Me Kisi Aur Ko La Na Sake.
Usko Dekh Ke Aansoo To Ponchh Liye,
Lekin Kisi Auor Ko Dekh Ke Muskura Na Sake.




Ishq Sabhi Ko Jena Sikha Deta Hai,
Wafa Ke Naam Par Marna Sikha Deta Hai,
Ishq Nahi Kiya To Karke Dekho,
Zalim Har Dard Sehna Sikha Deta Hai





Humse Pucho Kya Hota Hai Pal Pal Bitana,
Bahut Mushkil Hota Hai Dil Ko Samjana,
Yaar Zindagi Toh Beet Jayegi,
Bus Mushkil Hota Hai Kuch Logo Ko Bhul Pana.





Kashish Toh Bahut Hai Mere Pyar Mai,
Lekin Koi Hai Pathar Dil Jo Pigalta Nahi,
Agar Mile Khuda To Mangungi Usko, Suna Hai Khuda Marne Se Pehle Milte Nahi.







Aap Se Door Ho Kar Hum Jayenge Kaha,
Aap Jaisa Dost Hum Payenge Kaha,
Dil Ko Kaise Bhi Sambhal Lenge,
Par Aankho Ke Aansu Hum Chupayege Kaha.




Haqikat Jaan Lo Juda Hone Se Pahle,
Meri Sun Lo Apni Sunane Se Pahle,
Ye Soch Lena Bhulane Se Pahle,
Bahut Royi Hain Ye Aankhen Muskurane Se Pahle.







Dard Se Hath Na Milate To Aur Kya Karte,
Gham Ke Aansoo Na Bahate To Aur Kya Karte,
Usne Maangi Thi Humse Roshni Ki Dua,
Hum Khud Ko Na Jalate To Or Kya Karte




Post a Comment

0 Comments