Latest Romantic Shayari In Hindi 2022 New Romantic Poetry
Romantic love Shayari 2022 |
Haal kuch aisa hai apna,
lagta hai jaisa koi sapna,
thi main tanha is safar me,
ab koi ban gaya hai apna,
Saath tera paake o jaana,
khwaab poore ho gaye hain,
har ghadi bas tera chehra,
bas wahi laage hai apna…
Doob Jata Hun Unki Aankhon Mein
Gahri Jheel Hain Unki Aankhein
Bah Jata Hun Unki Aankhon Mein
Bahti Nadiya Hain Unki Aankhein
Kho Jata Hun Unki Aankhon Mein
Atha Sagar Hain Unki Aankhein
Jal Jata Hun Unki Aankhon Mein
Jwala Mukhi Hain Unki Aankhein
Bheeg Jata Hun Unki Aankhon Mein
Kali Ghata Hain Unki Aankhein
Kya Se Kya Ho Jata Hun Unki Aankhon Mein
Kaisi Aur Kya Balaa Hain Unki Aankhein..
Unki nazar sharmayi huyi thi,
Nagin jaisi bal khayi huyi thi.
Maut ne jab ghunghat khola unka,
To jist bahut sharmayi huyi thi…
Aankh mein aks or us aks mein jyoti or jyoti ka parkash ho aap,
Dil mein dhadkan or dhadkan mein aawaj iski har aawaj mein ho aap,
Jism mein saans or jism ki har saans mein ho aap,
SIRF AAP in teeno ke bina jina namumkin hai my love…
Tarsi hain ye nigahen deedar ko aapke,
ye dil to dhadakta hai sirf pyar mein aapke,
hum agar jeete hain to sirf sahare dosti ke aapke,
hum har pal ye kehte hain ki hum to sirf nacheej se dost hai aapke,
varna hamara to kya wajud tha jo apne dil mein basaya hai aapne………
Koi Es Tarha Muj Say Payar Kry
Main Jhot B Bolon Tau Aitbar Kry
Apni Chahat Ka B Muj Say Izhar Kry,
Jan Wo Jan E Ada Muj Py Nisar Kry.
Wo Mujy Chahy Tau Toot Kr Chahy,
Payar Wo Muj Say Be Shumar Kry.
Mery Bina Na Bany Farmula E Ishq,
Main Kahoon Tau Do Or Do Char Kry.
Dost Teri Hasrtoon Ko Mera Salam Hy,
Pagal He Hoga Koi Jo Tuj Say Payar Kry…..
Mujhy Khamosh Raho Me Tera Sath Chaheay,
Tanha Hy Mera Hath Tera Hath Chaheay,
Mujh Ko Mere Muqadar Pritna Aqeen To Hy,
Tujhko B Mere Lafz Meri Baat Chaheay,
Main Khud Apni Shaar’iy Ko Kiya Acha Kaho,
Mujh Ko Teri Tareef Teri Daad Chaheay,
Ehsas-E-Muhabat Tere Hi Wastey Hai,
Lakin Junoon-E-Ishaq Ko Teri Hae Sougat Chaheay,
Tu Mujhko Paany Ki Khawahish Rkhta Hai Shayd,
Lekin Mujhy Jeeny K Liye Teri Hi Zaat Chaheay….
Kyon khush ho jata hun main
tumhari khushi dekhke
kyon ho jaata hun main hataash
tumhein udaas dekhke…
Chahak sa uthta hun main kyon
jab milne ki baari aati hain
par kyon milne baad ghanto
neend nahi aati hain…
Aankhein band karne se kyon
yaad tumhari aati hain
par jab khulti hain toh
kyon phir tu samne aati hain…
Aanso tere tapakte hain
to main kyon sisakta hun
jara si tu hasti hain
toh main kyon nikharta hun..
Jab bhi dekhta hun tumhe
bas yeh sochta hun
pucho tumse ya tumse kahun
rakhun dil mein ye baat ya keh dun…
Sun jara bas itna bata
Main aisa kyon hun
Main aisa kyon hun…
Aaj Aasman Ke Taaro Ne Muje Puch Liya…
Kya Tumhe Ab Bhi Intejar He Uske Laut Aane Ka…
Mene Muskurakar Kar Kaha…
Tum Laut Aane Ki Bat Karte Ho…
Muje To Ab Bhi Yakin Nahi Uske Jaane Ka………….
Duao ki bheed mein ek dua hamari
jis mein maangi hai humne har khushi tumhari
jab bhi aap muskuraaye dil se
samjho dua kabool hui hamari
`
Jee lete hain Koi humein agar kahe bura,
dua dekar usse honton ko hum see lete hain
Dard ho chahe kaisa,
zehar yeh chupke se hum pee lete hain
`
Apko bhul jaye wo nazar kaha se laye….
Kisi aur ko chah le woh jigar kaha se laye….
Nahi reh sakte app ke bina….
Uff bhi na nikle wo Zeher kaha se laye……..
`
Chodh diya akele humme
kisi aur ke baahon mai simatne ke liye
phir bhi pyaas agar bhoojti nahi
mere aansoon ke tailab mai zara doob ke dekhiye..
`
Tarapthe woh hain jinn ko koi ehsaas ho,
door kar ke dua karthe hain, kaash woh mere paas ho,
yeh judaai ke pal khud rothe hai tumari yaad main…
faryaad karthe hain…dard ka bi koi insaaf ho..
Woh Nazar kahan se laun jo tumhe bhulade,
Woh dawa kahan se laun jo is Dard ko mitade,
Milna to likha hota hai Taqdiron me Par,
Woh Taqdir hi kahan se laun joh Hum Dono ko milade…
`
Manzil Bhi Kho Chuke Humsafar Bhi Nahin Raha
Meri Kisi Bhi Duaa Main Sayad Asaar Hi Nahin Raha
Jab Se Huyee Hai Dil Ko Khabar wo bichaddh raha hai mujhse
Lafzoon Ko Jodnay Ka Tabse Hunaar Bhi Nahi Raha…
`
Paane se khone ka maza aur hai…
Bandh aankhon main rone ka maza aur hai…
Aansoo bane lafz aur lafz bane shayari…
aur uss shayari main tere hone ka maza aur hai…
`
Duniya mein kisi se kabhi pyar mat karna,
Apne anmol aansoo iss tarah bekar mat karna,
Kaante to phir bhi daman tham lete hain ,
Phulon pe iss tarah kabhi aitebar mat karna..
`
Unhone dekha aur aansu gir pade,
Bhari Barsaat mein jaise phool bikhar pade,
Dukh yeh nahi ki unhone hume alvida kaha,
dukh to yeh hain ki uske baad woh khud ro pade..
0 Comments